Ye 6 Food Hai Dudh Ke Viruddh Aahar, Kabhi Na Le Ek Sath | Health Tips
Is bhag daud bhari lifestyle me hamari body ko healthy aur fit rahne ki koshish karte rahena kisi challenge se km nahi hai. Isme bhi aajkal ke bazaaru fast-food aur milavat yukt khadya aahar ki vajah se log jane anjane me gambhir rogo ko apni or welcome kar rahe hai.
Is article me ham esi hi kuchh kharab aadat (bad habits) ke bare me janne ki koshish karenge jo Health ke point of view se hamare lie nukasan deh hai.
Jaisa ki ham sab jante hai ki dudh (Milk) ek sampurna aahar hai. Lekin dudh ka sevan karte samay kuchh savdhani rakhni bhi jaroori hai. Kyonki jahan dudh ek sampurna aahar hai wahan uske kuchh viruddh aahar (Opposite food) bhi hai. Agar aap bhule se bhi viruddh aahar ka sevan ek sath karte hai to kabj (constipation) samet kai chhoti-moti bimariyan hone ka khatra raheta hai.
To wo kaun kaun se aahar (food) hai jo hame dudh ke sath nahi lene chahie aaie jante hai.
1). Machhli - (fish) : Kabhi bhi machhli yaani fish ka dudh pine ke pahle yaa bad me sevan na kare.
2). Udad : Udad athva udad ki dal ka dudh ke sath sevan nahi karna chahie.
3). Dahi - Yogurt : Dahi waise to dudh ka hi ek hissa hai lekin ye bhi dudh ke viruddh aahar me aata hai. Islie dudh aur dahi ka ek sath sevan na kare isse skin related bimariyan hone ki sambhavna hai.
4). Til : Bhale hi til ek baarik food ho lekin dudh ke sath til ka sevan Health ke lihaj se behtar nahi hai.
5). Khatte fruits : Dudh ke sath Khatte fruits jaise ki cherry, orange, lemon ka sevan bhi nahi karna chahie.
6). Namak - Salt : Dudh ke sath salt yaani namak ka aur jyada namkin foods ka sevan nahi karna chahie.
Comments